Bangla Sat Church ke saamne wale quarters mein do din tak Karma Puja Mahotsav ka ayojan kiya gaya. Yeh do din ka karyakram Adivasi samaj ke paramparik culture aur reeti-rivaaz ke mutabik manaya gaya, jismein paramparik dance, music, puja aur lunch ka intezam kiya gaya tha. Is dauran sabhi logon ne ek saath milkar puja mein hissa liya aur Karma Puja Mahotsav ko safal banaya. Wahan ke tamaam logon ki badh-chadh kar shirkat se yeh do din ka karyakram khushi aur utsah ke saath sampann hua.
Post Views: 4










